Bari Elaichi Power
*Pagri Masalay - Bari Elaichi Powder*
*Pagri Masalay = Etemad Ki Pehchan*
Bari elaichi ka zaiqa shor nahi karta, apni khushbu se pehchan banata hai. Is ki dhuwan daar si makhsoos khushbu aur gehra zaiqa gosht aur masala dar pakwanon ko woh bharpoor andaz deta hai jo aam masalay se hasil nahi hota.
Pagri Masalay ka bari elaichi powder un zaiqon ke liye hai jahan aap chahtay hain ke masala sirf shamil na ho, balkay khanay ki khushbu aur zaiqay me apni mojoodgi mehsoos karaye.
*Khusoosiyat:*
Gehri aur makhsoos khushbu
Bari elaichi ka numayan zaiqa
Gosht aur masala dar pakwanon ke liye behtareen
Garam masala aur mukhtalif desi tarkeebon me aasan istemal
Saaf suthri packing
Biryani, qorma, gosht, pulao ya garam masalay ki tayari - munasib miqdar me bari elaichi ka istemal khanay ke zaiqay me gehrai aur khushbu ka alag rang paida karta hai.
Hamari koshish sirf powder farokht karna nahi; hum chahtay hain ke aap masala istemal karen aur phir khud batayen ke zaiqa waqai apni pehchan rakhta hai ya nahi.
Aik bar azmayen, faisla aap ka.
*Delivery Offer Mustaqil*
999 Rs ya is se zyada ke order par puray Pakistan me FREE Delivery.
999 se kam order par sirf 150 Rs delivery charges.
*Order Booking:* Aap ka order pakka karnay ke liye sirf 300 Rs booking amount, baqi raqam parcel milnay par. Yeh 300 Rs aap ke total bill me se hi cut jayen ge.
*Pagri Masalay - Jahan khushbu sirf ati nahi, zaiqay me thehar jati hai.*